(have been reading a borrowed book: 'urdu ki behtariin shayari')
iqbal -
"gesu-e-taabdaar1 ko aur bhi taabdaar kar
hosho-khirad2 shikaar kar kalbo-nazar3 shikaar kar
ishq bhi ho hijaab4 mein, husn bhi ho hijaab mein
ya to khud aashkaar5 ho ya mujhe aashkaar kar
tu hai muhite-bekaraan6, mein hun zaraa si aabe-ju7
ya mujhe humkinaar8 kar, ya mujhe bekinaar9 kar
baage-bahisht se mujhe hukme-safar diya thha kyun
kaare-jahan10 daraaz11 hai ab mera intezaar kar
roze-hisaab12 jab mera pesh ho daftare-amal13
aap bhi sharmsaar ho mujhko bhi sharmsaar kar"
1 chamkeele kesh, 2 buddhi, 3 mann, 4 parde mein, 5 prakat, 6 athhah saagar, 7 chhoti nadi, 8 apne se mila le, 9 bekinaaraa, 10 sansaar ka kaam, 11 lambaa, 12 karmon ka pothaa, 13 judgement day
2 comments:
what's sharmshaar mean?
random line - a vision of a new world from the ashes of the old
its 'saar' without the 'h'. i figure it to mean something like 'sharminda' meaning embarass. the context here is to cross such limits in love so as to be caused embarassment on judgement day
Post a Comment